himaqat yun hui mere junun ki pir mein tum the
himāqat yuuñ huī mere junūñ kī piir meñ tum the
taḳhayyul meñ thā koī aur par tahrīr meñ tum the
tumheñ gustāḳh maiñ kaise nazar aaya batāo to
mirī har vādī-e-dil-sozī kī tauqīr meñ tum the
hasīnāoñ ne mujh par tiir chhoḌe umr-bhar kyā kyā
kiyā jo ġhaur to har ik nazar ke tiir meñ tum the
shutter to camere kā chāñd par maiñ ne dabāyā thā
magar jab jā.eza maiñ ne liyā tasvīr meñ tum the
sabhī be-rang the manzar hasīñ chehre hasīñ vaadī
sunā ye baad meñ ki un dinoñ kashmīr meñ tum the
ḳhatā is meñ nahīñ merī ḳhudā kā faisla samjho
duāoñ meñ thā koī aur par taqdīr meñ tum the
kisī bhī qism kā unvān ho kuchh bhī taḳhayyul ho
magar 'az.har' ke har ik sher kī ta.amīr meñ tum the
himaqat yun hui mere junun ki pir mein tum the
taKHayyul mein tha koi aur par tahrir mein tum the
tumhein gustaKH main kaise nazar aaya batao to
meri har wadi-e-dil-sozi ki tauqir mein tum the
hasinaon ne mujh par tir chhoDe umr-bhar kya kya
kiya jo ghaur to har ek nazar ke tir mein tum the
shutter to camere ka chand par main ne dabaya tha
magar jab jaeza main ne liya taswir mein tum the
sabhi be-rang the manzar hasin chehre hasin wadi
suna ye baad mein ki un dinon kashmir mein tum the
KHata is mein nahin meri KHuda ka faisla samjho
duaon mein tha koi aur par taqdir mein tum the
kisi bhi qism ka unwan ho kuchh bhi taKHayyul ho
magar 'azhar' ke har ek sher ki tamir mein tum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.