himmat tamam pesh-e-safar KHatm ho gai
himmat tamām pesh-e-safar ḳhatm ho ga.ī
manzil hai duur aur Dagar ḳhatm ho ga.ī
kaise kaTegī raat tire intizār meñ
cigarette jo āḳhirī hai agar ḳhatm ho ga.ī
phailī fazā meñ kyā tire anfās kī tapish
phir sard raat kho ke asar ḳhatm ho ga.ī
roz-e-azal se thī jo mire dil meñ aarzū
dekhā jo us ko ek nazar ḳhatm ho ga.ī
hāthoñ meñ apne aab udhar us ne kyā liyā
sūkhe laboñ kī pyaas idhar ḳhatm ho ga.ī
'hānī' vo merā saath nibhāne to aa ga.e
tanhā.ī kī hayāt magar ḳhatm ho ga.ī
himmat tamam pesh-e-safar KHatm ho gai
manzil hai dur aur Dagar KHatm ho gai
kaise kaTegi raat tere intizar mein
cigarette jo aaKHiri hai agar KHatm ho gai
phaili faza mein kya tere anfas ki tapish
phir sard raat kho ke asar KHatm ho gai
roz-e-azal se thi jo mere dil mein aarzu
dekha jo us ko ek nazar KHatm ho gai
hathon mein apne aab udhar us ne kya liya
sukhe labon ki pyas idhar KHatm ho gai
'hani' wo mera sath nibhane to aa gae
tanhai ki hayat magar KHatm ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.