himmat yun aap ishq mein haara na kijiye
himmat yuuñ aap 'ishq meñ haarā na kījiye
apnā kisī ko kah ke kināra na kījiye
lag jaa.e na nazar tumheñ saare jahān kī
zulfoñ ko baar baar sañvārā na kījiye
tum ne diye the zaḳhm vo ab tak bhare nahīñ
nazroñ ke vaar dil pe dubāra na kījiye
hāthoñ meñ jin ke aa.e haqārat kī bū agar
hāthoñ meñ aise haath gavārā na kījiye
hai tum ko un se pyaar to qurbat baḌhā.ī hai
chhup-chhup ke yuuñ 'jamāl' nazāra na kījiye
himmat yun aap 'ishq mein haara na kijiye
apna kisi ko kah ke kinara na kijiye
lag jae na nazar tumhein sare jahan ki
zulfon ko bar bar sanwara na kijiye
tum ne diye the zaKHm wo ab tak bhare nahin
nazron ke war dil pe dubara na kijiye
hathon mein jin ke aae haqarat ki bu agar
hathon mein aise hath gawara na kijiye
hai tum ko un se pyar to qurbat baDhai hai
chhup-chhup ke yun 'jamal' nazara na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.