Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hinai jalti poren sabr ka phal dil ka darwaza

Irshad Ahmad Niazi

hinai jalti poren sabr ka phal dil ka darwaza

Irshad Ahmad Niazi

MORE BYIrshad Ahmad Niazi

    hinā.ī jaltī poreñ sabr phal dil darvāza

    sikuḌtī dastakeñ hairat muqaffal dil darvāza

    kahīñ par habs mehvar kahīñ ujlat havāoñ

    kahīñ par bijlī pahne oḌhe bādal dil darvāza

    mahaktī aas dīvār se kaa.ī ukhaḌtī hai

    bane jab sar chunarī aur āñchal dil darvāza

    tanāb-e-ḳhema-e-ehsās vahshat sameTegā

    agar khul jaa.e sahrā par mukammal dil darvāza

    tamannā-e-sadā matlūb āġhushta ba-ḳhūñ-manzar

    ḳhamosh-o-ḳhasta ik muddat se pāgal dil darvāza

    bhaTaktī aañkh ġham hairat aziyyat reshmī parde

    ulajhtī niiñd aiThan ḳhvāb maḳhmal dil darvāza

    parāyā hijr ḳhamiyāze uljhan malgaje 'irshād'

    sisaktā vasl kālak aañkh ojhal dil darvāza

    hinai jalti poren sabr ka phal dil ka darwaza

    sikuDti dastaken hairat muqaffal dil ka darwaza

    kahin par habs ka mehwar kahin ujlat hawaon ki

    kahin par bijli pahne oDhe baadal dil ka darwaza

    mahakti aas ki diwar se kai ukhaDti hai

    bane jab sar ki chunari aur aanchal dil ka darwaza

    tanab-e-KHema-e-ehsas ki wahshat sameTega

    agar khul jae sahra par mukammal dil ka darwaza

    tamanna-e-sada matlub aaghushta ba-KHun-manzar

    KHamosh-o-KHasta ek muddat se pagal dil ka darwaza

    bhaTakti aankh gham hairat aziyyat reshmi parde

    ulajhti nind aiThan KHwab maKHmal dil ka darwaza

    paraya hijr KHamiyaze ki uljhan malgaje 'irshad'

    sisakta wasl kalak aankh ojhal dil ka darwaza

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now