hiqarat se na dekho dil ko jam-e-jam bhi kahte hain
hiqārat se na dekho dil ko jām-e-jam bhī kahte haiñ
isī ḳhāk-e-tapāñ ko fātah-e-ālam bhī kahte haiñ
ye dil kī dāstān-e-muztarib hai jis ko duniyā meñ
kahīñ aañsū kahīñ motī kahīñ shabnam bhī kahte haiñ
kabhī ke ik tabassum ko sajā rakkhā hai hoñToñ par
bahut se to use parvarda-e-mātam bhī kahte haiñ
masarrat ke pujārī tujh ko ye ishrat mubārak ho
ye duniyā hai masarrat ko yahāñ par ġham bhī kahte haiñ
zamāna kah rahā hai tum ne gulshan hī miTā Daalā
muravvat bartaraf lo aaj aisā ham bhī kahte haiñ
hiqarat se na dekho dil ko jam-e-jam bhi kahte hain
isi KHak-e-tapan ko fatah-e-alam bhi kahte hain
ye dil ki dastan-e-muztarib hai jis ko duniya mein
kahin aansu kahin moti kahin shabnam bhi kahte hain
kabhi ke ek tabassum ko saja rakkha hai honTon par
bahut se to use parwarda-e-matam bhi kahte hain
masarrat ke pujari tujh ko ye ishrat mubarak ho
ye duniya hai masarrat ko yahan par gham bhi kahte hain
zamana kah raha hai tum ne gulshan hi miTa Dala
murawwat bartaraf lo aaj aisa hum bhi kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.