hirs-e-duniya jo teri aankh ka tara hua hai
hirs-e-duniyā jo tirī aañkh kā taarā huā hai
ye kisī kā na hamārā na tumhārā huā hai
silvaTeñ yuuñ hī nahīñ ḳhāk-e-badan par haiñ mire
vaqt ke haath ne paikar ye sañvārā huā hai
mas.ala sirf mirī zaat se vābasta nahīñ
dahr meñ har koī taqdīr kā maarā huā hai
raqs kartā hai junūñ shauq-e-farāvānī par
jab se ye 'ishq mirī jaan dobārā huā hai
kaañp uTThī hai sar-e-shām charāġhoñ kī lau
haañ kisī ne to mirā naam pukārā huā hai
us ne toḌā hai ubalte hue dariyā kā ġhurūr
nāḳhudā jo abhī mañjdhār se haarā huā hai
yuuñ hī hoñToñ pe nahīñ ubhre tabassum ke nuqūsh
bazm meñ to kisī jānib se ishāra huā hai
yuuñ hī siine se lagātā nahīñ koī bhī 'ayāz'
ḳhaak chhānī hai to ye dasht hamārā huā hai
hirs-e-duniya jo teri aankh ka tara hua hai
ye kisi ka na hamara na tumhaara hua hai
silwaTen yun hi nahin KHak-e-badan par hain mere
waqt ke hath ne paikar ye sanwara hua hai
masala sirf meri zat se wabasta nahin
dahr mein har koi taqdir ka mara hua hai
raqs karta hai junun shauq-e-farawani par
jab se ye 'ishq meri jaan dobara hua hai
kanp uTThi hai sar-e-sham charaghon ki lau
han kisi ne to mera nam pukara hua hai
us ne toDa hai ubalte hue dariya ka ghurur
naKHuda jo abhi manjdhaar se haara hua hai
yun hi honTon pe nahin ubhre tabassum ke nuqush
bazm mein to kisi jaanib se ishaara hua hai
yun hi sine se lagata nahin koi bhi 'ayaz'
KHak chhani hai to ye dasht hamara hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.