hirs-o-hawas ke nam ye din raat ki talab
hirs-o-havas ke naam ye din raat kī talab
imdād kī umiid mafādāt kī talab
vo sānehe ki soch badalnī paḌī mujhe
paidā.eshī nahīñ thī ḳhayālāt kī talab
maiñ bhī kisī masīhā ke huuñ intizār meñ
tum ko bhī ġhāliban hai karāmāt kī talab
ḳhabroñ meñ ek lutf kā pahlū to hai magar
achchhī nahīñ hai itnī bhī hālāt kī talab
kaisā ajiib rog mire jī ko lag gayā
har vaqt hai kisī se mulāqāt kī talab
jur.at se apnī ḳhud bhī maiñ hairān huuñ bahut
baḌhtī hī jā rahī hai savālāt kī talab
tū bhī gunāhgār yaqīnan hai zaat kā
'saurabh' tirī sazā bhī vahī zaat kī talab
hirs-o-hawas ke nam ye din raat ki talab
imdad ki umid mafadat ki talab
wo sanehe ki soch badalni paDi mujhe
paidaeshi nahin thi KHayalat ki talab
main bhi kisi masiha ke hun intizar mein
tum ko bhi ghaaliban hai karamat ki talab
KHabron mein ek lutf ka pahlu to hai magar
achchhi nahin hai itni bhi haalat ki talab
kaisa ajib rog mere ji ko lag gaya
har waqt hai kisi se mulaqat ki talab
jurat se apni KHud bhi main hairan hun bahut
baDhti hi ja rahi hai sawalat ki talab
tu bhi gunahgar yaqinan hai zat ka
'saurabh' teri saza bhi wahi zat ki talab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.