hisar-e-chashm se bahar nahin mila koi
hisār-e-chashm se bāhar nahīñ milā koī
maiñ DhūñDhtā hī rahā par nahīñ milā koī
mire vajūd meñ ḳhushbū kahāñ se aa.egī
bahut dinoñ se gul-e-tar nahīñ milā koī
fasīl-e-jism se bāhar bhī jhāñk kar dekhā
mujhe to mere barābar nahīñ milā koī
pas-e-ġhubār bhī maiñ ā.ina-ba-dast rahā
magar nigāh ko manzar nahīñ milā koī
haiñ tere dast-e-tasarruf meñ anfus-o-āfāq
mujhe ḳhulūs kā paikar nahīñ milā koī
havā chalī to makāñ tīrgī meñ Duub ga.e
charāġh rāhguzar par nahīñ milā koī
ye ḳhud-sarī kā ajab daur hai ki 'aḳhtar' se
ġharīb-e-shahr samajh kar nahīñ milā koī
hisar-e-chashm se bahar nahin mila koi
main DhunDhta hi raha par nahin mila koi
mere wajud mein KHushbu kahan se aaegi
bahut dinon se gul-e-tar nahin mila koi
fasil-e-jism se bahar bhi jhank kar dekha
mujhe to mere barabar nahin mila koi
pas-e-ghubar bhi main aaina-ba-dast raha
magar nigah ko manzar nahin mila koi
hain tere dast-e-tasarruf mein anfus-o-afaq
mujhe KHulus ka paikar nahin mila koi
hawa chali to makan tirgi mein Dub gae
charagh rahguzar par nahin mila koi
ye KHud-sari ka ajab daur hai ki 'aKHtar' se
gharib-e-shahr samajh kar nahin mila koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.