hisar-e-gham se nikal apni zindagani bacha
hisār-e-ġham se nikal apnī zindagānī bachā
nigāh-e-hijr meñ aa.ī huī javānī bachā
ye log pyaar ke hāsid haiñ mere qissa-go
kisī kī ek na sun tū faqat kahānī bachā
'ajīb ranj thā jis ne ye aañkh banjar kī
maiñ itnā royā mirī aañkh meñ na paanī bachā
har ek chiiz na ġhusse se kūḌe-dān meñ pheñk
qarār-e-dil ko bhī us kī koī nishānī bachā
ḳhizāñ rutoñ ne bhī barsoñ talak jalāyā mujhe
numū ko bhī na koī dast-e-bāġhbānī bachā
rafāqatoñ kā hasan aur kuchh nahīñ hāsil
bachā to dil meñ faqat ranj-e-rā.egānī bacha
hisar-e-gham se nikal apni zindagani bacha
nigah-e-hijr mein aai hui jawani bacha
ye log pyar ke hasid hain mere qissa-go
kisi ki ek na sun tu faqat kahani bacha
'ajib ranj tha jis ne ye aankh banjar ki
main itna roya meri aankh mein na pani bacha
har ek chiz na ghusse se kuDe-dan mein phenk
qarar-e-dil ko bhi us ki koi nishani bacha
KHizan ruton ne bhi barson talak jalaya mujhe
numu ko bhi na koi dast-e-baghbani bacha
rafaqaton ka hasan aur kuchh nahin hasil
bacha to dil mein faqat ranj-e-raegani bacha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.