hisar-e-gard mein tanha khaDa hun
hisār-e-gard meñ tanhā khaḌā huuñ
maiñ apnī ḳhvāhishoñ kā silsila huuñ
ḳhalā kī vus.atoñ ko nāptā huuñ
ġhubār-e-rahguzar uḌtā huā huuñ
vo itnā paas hai mere ki us ko
maiñ āñkheñ band karke dekhtā huuñ
hazāroñ miil kā lambā safar hai
maiñ lamhoñ meñ jise tai kar rahā huuñ
yaqīñ aa.e na aa.e tum ko lekin
maiñ apnī khoj meñ ghar se chalā huuñ
mire baare meñ vo bhī sochtā hai
ḳhudā kā shukr maiñ bhī jī rahā huuñ
ye kis kī yaad ne kī zau-fishānī
safar meñ jugnuoñ ko dekhtā huuñ
koī shādāb mausam aa.e mujh tak
maiñ sūkhā peḌ raste par khaḌā huuñ
mahakte phuul kī ḳhvāhish meñ 'ḳhālid'
maiñ tanhā.ī kā mausam jheltā huuñ
hisar-e-gard mein tanha khaDa hun
main apni KHwahishon ka silsila hun
KHala ki wusaton ko napta hun
ghubar-e-rahguzar uDta hua hun
wo itna pas hai mere ki us ko
main aankhen band karke dekhta hun
hazaron mil ka lamba safar hai
main lamhon mein jise tai kar raha hun
yaqin aae na aae tum ko lekin
main apni khoj mein ghar se chala hun
mere bare mein wo bhi sochta hai
KHuda ka shukr main bhi ji raha hun
ye kis ki yaad ne ki zau-fishani
safar mein jugnuon ko dekhta hun
koi shadab mausam aae mujh tak
main sukha peD raste par khaDa hun
mahakte phul ki KHwahish mein 'KHalid'
main tanhai ka mausam jhelta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.