hisar-e-hifz-e-jaan koi nahin hai
hisār-e-hifz-e-jāñ koī nahīñ hai
hai kashtī bādbāñ koī nahīñ hai
jahāñ tak maiñ gayā rāh-e-talab meñ
vahāñ tak sā.ebāñ koī nahīñ hai
kuchh aisī zehniyat ke log bhī haiñ
jahāñ vo haiñ vahāñ koī nahīñ hai
mohabbat meñ hai nafrat kā bhī imkāñ
ḳhulūs-e-be-karāñ koī nahīñ hai
gumāñ ho apne vīrāne kā jis par
makāñ aisā yahāñ koī nahīñ hai
ḳhud apne aap se ham bad-gumāñ haiñ
kisī se bad-gumāñ koī nahīñ hai
huī tasdīq un se guftugū par
javāb-e-jāhilāñ koī nahīñ hai
talab kī āḳhirī manzil hai shāhid
ġham-e-sūd-o-ziyāñ koī nahīñ hai
hisar-e-hifz-e-jaan koi nahin hai
hai kashti baadban koi nahin hai
jahan tak main gaya rah-e-talab mein
wahan tak saeban koi nahin hai
kuchh aisi zehniyat ke log bhi hain
jahan wo hain wahan koi nahin hai
mohabbat mein hai nafrat ka bhi imkan
KHulus-e-be-karan koi nahin hai
guman ho apne virane ka jis par
makan aisa yahan koi nahin hai
KHud apne aap se hum bad-guman hain
kisi se bad-guman koi nahin hai
hui tasdiq un se guftugu par
jawab-e-jahilan koi nahin hai
talab ki aaKHiri manzil hai shahid
gham-e-sud-o-ziyan koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.