hisar-e-hosh mein KHwabon ke dar rakkhe gae hain
hisār-e-hosh meñ ḳhvāboñ ke dar rakkhe ga.e haiñ
koī rasta nahīñ hai aur safar rakkhe ga.e haiñ
guhar aatā hai āġhosh-e-sadaf meñ buuñd ban kar
zamīn-o-āsmāñ meñ nāma-bar rakkhe ga.e haiñ
basantī dhuup āñgan meñ simaT kar so rahī hai
havā ke dosh par peḌoñ ke sar rakkhe ga.e haiñ
azal se bhāgtā huuñ apne hī saa.e ke pīchhe
ta.āqub meñ mire shām-o-sahar rakkhe ga.e haiñ
ye kaisā khel hai dushvār jiine ke jatan haiñ
magar marne ke gur āsān-tar rakkhe ga.e haiñ
adā hoñge hamārī be-bahā lā-hāsilī meñ
vo saare qarz jo is jaan par rakkhe ga.e haiñ
chaḌhā hai din nikal aa.e haiñ bāzāroñ meñ saa.e
magar jo jism the saare vo ghar rakkhe ga.e haiñ
chunā hai reza reza ham ne apnī ḳhvāhishoñ ko
ye TuuTe aa.ine the joḌ kar rakkhe ga.e haiñ
likhegā kaun yārab lazzat-e-be-iḳhtiyār apnī
saroñ par kātbīn-e-ḳhair-o-shar rakkhe ga.e haiñ
hai ta.avīz suḳhan kā mo.ajiza 'sarmad' ki ham par
tilism-e-jāh-o-mansab be-asar rakkhe ga.e haiñ
hisar-e-hosh mein KHwabon ke dar rakkhe gae hain
koi rasta nahin hai aur safar rakkhe gae hain
guhar aata hai aaghosh-e-sadaf mein bund ban kar
zamin-o-asman mein nama-bar rakkhe gae hain
basanti dhup aangan mein simaT kar so rahi hai
hawa ke dosh par peDon ke sar rakkhe gae hain
azal se bhagta hun apne hi sae ke pichhe
taaqub mein mere sham-o-sahar rakkhe gae hain
ye kaisa khel hai dushwar jine ke jatan hain
magar marne ke gur aasan-tar rakkhe gae hain
ada honge hamari be-baha la-hasili mein
wo sare qarz jo is jaan par rakkhe gae hain
chaDha hai din nikal aae hain bazaron mein sae
magar jo jism the sare wo ghar rakkhe gae hain
chuna hai reza reza hum ne apni KHwahishon ko
ye TuTe aaine the joD kar rakkhe gae hain
likhega kaun yarab lazzat-e-be-iKHtiyar apni
saron par katbin-e-KHair-o-shar rakkhe gae hain
hai tawiz suKHan ka moajiza 'sarmad' ki hum par
tilism-e-jah-o-mansab be-asar rakkhe gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.