hisar-e-zat bhi zulmat-kada lage hai mujhe
hisār-e-zāt bhī zulmat-kada lage hai mujhe
bujhā-bujhā sā charāġh-e-vafā lage hai mujhe
andherī raat meñ le de ke ik sitāra thā
so ye sitāra bhī ab Dūbtā lage hai mujhe
ab aur kis ko banā.ūñ anīs-e-tanhā.ī
tirā ḳhayāl bhī rūThā huā lage hai mujhe
qarīb aur qarīb aa mire gale lag jā
ki tū bhī vaqt kā maarā huā lage hai mujhe
nigāh-e-lutf se kyā us ne mujh ko dekh liyā
mirā vajūd bhī ab jaane kyā lage hai mujhe
ḳhudā to ek hai lekin bharī ḳhudā.ī meñ
nigāh jis pe paḌe hai ḳhudā lage hai mujhe
tire junūñ se mujhe faiz ye huā hāsil
duā lage hai na ab badduā lage hai mujhe
na jaane 'fauq' ko kyoñ log rind kahte haiñ
ye aadmī to baḌā pārsā lage hai mujhe
hisar-e-zat bhi zulmat-kada lage hai mujhe
bujha-bujha sa charagh-e-wafa lage hai mujhe
andheri raat mein le de ke ek sitara tha
so ye sitara bhi ab Dubta lage hai mujhe
ab aur kis ko banaun anis-e-tanhai
tera KHayal bhi ruTha hua lage hai mujhe
qarib aur qarib aa mere gale lag ja
ki tu bhi waqt ka mara hua lage hai mujhe
nigah-e-lutf se kya us ne mujh ko dekh liya
mera wajud bhi ab jaane kya lage hai mujhe
KHuda to ek hai lekin bhari KHudai mein
nigah jis pe paDe hai KHuda lage hai mujhe
tere junun se mujhe faiz ye hua hasil
dua lage hai na ab baddua lage hai mujhe
na jaane 'fauq' ko kyon log rind kahte hain
ye aadmi to baDa parsa lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.