hisar-e-zat se bahar nikal jaane ki Thani hai
hisār-e-zāt se bāhar nikal jaane kī Thānī hai
zarā maiñ bhī to dekhūñ mujh meñ kitnī be-karānī hai
kisī se pūchhte kyā ho jabīnoñ par nazar Daalo
lakīreñ ḳhud kaheñgī kis ne kitnī ḳhaak chhānī hai
fareb-e-bāl-o-par meñ qaid hai ehsās kā taa.ir
shu.ūr-o-āgahī par bhī qafas kī hukmrānī hai
matā-e-ārzū ashkoñ kī sūrat aañkh meñ aa kar
Thahar jaa.e to gauhar hai jo bah jaa.e to paanī hai
kināre se nikal kar chāhtī hai be-karāñ honā
nafas kī rau hai yā shorīda dariyā kī ravānī hai
sivā.e gard-e-rāh-e-shauq kyā rakkhā hai qisse meñ
hamārī zindagī ḳhāna-ba-doshoñ kī kahānī hai
mirī āñkhoñ se mehr-o-māh paiham baat karte haiñ
mire paikar meñ raushan ik jahān-e-ḳhush-gumānī hai
sulūk-e-dostāñ par raaz tum hairat-zada kyuuñ ho
na.e haiñ zaḳhm-e-jāñ lekin rivāyat to purānī hai
hisar-e-zat se bahar nikal jaane ki Thani hai
zara main bhi to dekhun mujh mein kitni be-karani hai
kisi se puchhte kya ho jabinon par nazar Dalo
lakiren KHud kahengi kis ne kitni KHak chhani hai
fareb-e-baal-o-par mein qaid hai ehsas ka tair
shuur-o-agahi par bhi qafas ki hukmrani hai
mata-e-arzu ashkon ki surat aankh mein aa kar
Thahar jae to gauhar hai jo bah jae to pani hai
kinare se nikal kar chahti hai be-karan hona
nafas ki rau hai ya shorida dariya ki rawani hai
siwae gard-e-rah-e-shauq kya rakkha hai qisse mein
hamari zindagi KHana-ba-doshon ki kahani hai
meri aankhon se mehr-o-mah paiham baat karte hain
mere paikar mein raushan ek jahan-e-KHush-gumani hai
suluk-e-dostan par raaz tum hairat-zada kyun ho
nae hain zaKHm-e-jaan lekin riwayat to purani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.