hisar-e-zat se bahar nikal ke aa to sahi
hisār-e-zāt se bāhar nikal ke aa to sahī
vafā kī raah pe chal kar zarā dikhā to sahī
phir is ke baad bhaTak jā.ūñ to qusūr mirā
asīr-e-shab huuñ mujhe raushnī meñ lā to sahī
maiñ mutma.in huuñ dukhoñ se ḳhushī milī na milī
tirī janāb se sad-shukr kuchh milā to sahī
ḳhirad to baiThī rahī husn kī umīdoñ par
junūñ ne dasht-navardī kī kuchh kiyā to sahī
maiñ muntashir hī rahā ḳhvāhishoñ ke sahrā meñ
mirā vajūd mukammal thā kab batā to sahī
mazāq samjhā hai ulfat ko tū ne ai 'shāriq'
do ek sang mirī tarah sar pe khā to sahī
hisar-e-zat se bahar nikal ke aa to sahi
wafa ki rah pe chal kar zara dikha to sahi
phir is ke baad bhaTak jaun to qusur mera
asir-e-shab hun mujhe raushni mein la to sahi
main mutmain hun dukhon se KHushi mili na mili
teri janab se sad-shukr kuchh mila to sahi
KHirad to baiThi rahi husn ki umidon par
junun ne dasht-nawardi ki kuchh kiya to sahi
main muntashir hi raha KHwahishon ke sahra mein
mera wajud mukammal tha kab bata to sahi
mazaq samjha hai ulfat ko tu ne ai 'shaariq'
do ek sang meri tarah sar pe kha to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.