hisar-e-zat se nikal ke be-kanar hum hue
hisār-e-zāt se nikal ke be-kanār ham hue
zamīn-o-āsmāñ kā nuqra.ī ġhubār ham hue
rahī na garmī-e-vafā diloñ meñ ab haiñ dūriyāñ
sunā ke hāl-e-dil tumheñ jahāñ meñ ḳhvār ham hue
pas-e-ġhubār-e-ā.ina ik aks tum pe baar thā
bas ek zarb tum ne dī to be-shumār ham hue
milī jo āgahī hameñ ridā-e-nūr meñ Dhale
falak kī kahkashāoñ ke bhī tājdār ham hue
muḳhālifat kī āñdhiyāñ qadam na Dagmagā sakīñ
ufuq se misl-e-āftāb āshkār ham hue
mohabbateñ mahak uThīñ ḳhafī thā jo ayaañ huā
milī haiñ shohrateñ unheñ jo ishtihār ham hue
ajab sī ulfateñ rahīñ ajiib fāsle rahe
na qurbateñ baham rahīñ na rad hī yaar ham hue
hisar-e-zat se nikal ke be-kanar hum hue
zamin-o-asman ka nuqrai ghubar hum hue
rahi na garmi-e-wafa dilon mein ab hain duriyan
suna ke haal-e-dil tumhein jahan mein KHwar hum hue
pas-e-ghubar-e-aina ek aks tum pe bar tha
bas ek zarb tum ne di to be-shumar hum hue
mili jo aagahi hamein rida-e-nur mein Dhale
falak ki kahkashaon ke bhi tajdar hum hue
muKHalifat ki aandhiyan qadam na Dagmaga sakin
ufuq se misl-e-aftab aashkar hum hue
mohabbaten mahak uThin KHafi tha jo ayan hua
mili hain shohraten unhen jo ishtihaar hum hue
ajab si ulfaten rahin ajib fasle rahe
na qurbaten baham rahin na rad hi yar hum hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.