hisar ke sabhi nizam gard gard ho gae
hisār ke sabhī nizām gard gard ho ga.e
ham apne apne jism meñ ḳhalā-navard ho ga.e
ravāniyāñ sifar huiiñ masāfateñ khañDar huiiñ
najāt ke tamām shāhkār sard ho ga.e
havā-e-jāñ kā kyā miyāñ uThā ga.ī uḌā ga.ī
jame na the badan meñ ham ki phir se gard ho ga.e
ibāratoñ meñ aa basī ajiib rut sukūt kī
qalam kī shāḳh ke tamām barg zard ho ga.e
na pūchh ham se kyā huā hayāt kā 'riyāz' kā
davām chhū gayā unheñ to kard kard ho ga.e
hisar ke sabhi nizam gard gard ho gae
hum apne apne jism mein KHala-naward ho gae
rawaniyan sifar huin masafaten khanDar huin
najat ke tamam shahkar sard ho gae
hawa-e-jaan ka kya miyan uTha gai uDa gai
jame na the badan mein hum ki phir se gard ho gae
ibaraton mein aa basi ajib rut sukut ki
qalam ki shaKH ke tamam barg zard ho gae
na puchh hum se kya hua hayat ka 'riyaz' ka
dawam chhu gaya unhen to kard kard ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.