hisar mein liye be-nam ek wahshat thi
hisār meñ liye be-nām ek vahshat thī
yahī matā' yahī zindagī kī qīmat thī
kahīñ qiyām bhī karte to bad-gumāñ rahte
hamāre pair se lipTī huī vo hijrat thī
tirī talāsh faqat zād-e-rāh thī ham ko
vagarna ham ko faqat apnī hī zarūrat thī
tamām 'umr vafādār hī rahe apne
barā.e zaḳhm tire haath pe bhī bai'at thī
mileñ to pursish-e-ahvāl bhī zarūrī thā
ye guftugū bhī koī sūrat-e-mohabbat thī
thakan hī de ke gayā zaat kā safar mujh ko
ki ye bhī rā.egāñ shāyad koī masāfat thī
zamīñ pe bojh se apne girī thiiñ dīvāreñ
ye aur baat ki barsāt se shikāyat thī
havā kī zad pe hī aa kar charāġh bujhnā thā
vagarna phir to rivāyāt se baġhāvat thī
hisar mein liye be-nam ek wahshat thi
yahi mata' yahi zindagi ki qimat thi
kahin qiyam bhi karte to bad-guman rahte
hamare pair se lipTi hui wo hijrat thi
teri talash faqat zad-e-rah thi hum ko
wagarna hum ko faqat apni hi zarurat thi
tamam 'umr wafadar hi rahe apne
barae zaKHm tere hath pe bhi bai'at thi
milen to pursish-e-ahwal bhi zaruri tha
ye guftugu bhi koi surat-e-mohabbat thi
thakan hi de ke gaya zat ka safar mujh ko
ki ye bhi raegan shayad koi masafat thi
zamin pe bojh se apne giri thin diwaren
ye aur baat ki barsat se shikayat thi
hawa ki zad pe hi aa kar charagh bujhna tha
wagarna phir to riwayat se baghawat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.