ho agar mere yar aa jao
ho agar mere yaar aa jaao
hai mujhe intizār aa jaao
maiñ bhī huuñ be-qarār aa jaao
tum bhī ho dil-figār aa jaao
ho ke dosh-e-sabā pe aaj savār
gar na ho nāgavār aa jaao
maiñ huuñ dīvāna-vār tum pe fidā
ho agar e'tibār aa jaao
maiñ huuñ is paar aur tum us paar
toḌ kar ye hisār aa jaao
hai tumhārī shikast merī shikast
maan lūñgā maiñ haar aa jaao
maiñ tumhārī karūñgā dil-jūī
tum ho kyuuñ ashk-bār aa jaao
aaj 'barqī' hai gosh-bar-āvāz
tum bajāte sitār aa jaao
ho agar mere yar aa jao
hai mujhe intizar aa jao
main bhi hun be-qarar aa jao
tum bhi ho dil-figar aa jao
ho ke dosh-e-saba pe aaj sawar
gar na ho nagawar aa jao
main hun diwana-war tum pe fida
ho agar e'tibar aa jao
main hun is par aur tum us par
toD kar ye hisar aa jao
hai tumhaari shikast meri shikast
man lunga main haar aa jao
main tumhaari karunga dil-jui
tum ho kyun ashk-bar aa jao
aaj 'barqi' hai gosh-bar-awaz
tum bajate sitar aa jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.