ho chale jism-numa chaar pahar jaana hai
ho chale jism-numā chaar pahar jaanā hai
saḌkeñ sunsān hoñ tārīk hoñ ghar jaanā hai
apnī be-laus mohabbat kā bharam hai mujh ko
koī ummīd nahīñ un se magar jaanā hai
kuchh na baaqī rahe rishte meñ tavaqqo' to rahe
muskurā kar to na jā dil se utar jaanā hai
ek din 'ishq meñ jismoñ kī hukūmat hogī
ek din taash ke mahloñ ko bikhar jaanā hai
dar-ba-dar ho ke bhī hijrat to na āsān huī
paañv patthar hue jaate haiñ kidhar jaanā hai
mushkileñ us ke savāloñ meñ banā.e rakhnā
aate hoñ to bhī javāboñ se mukar jaanā hai
ho chale jism-numa chaar pahar jaana hai
saDken sunsan hon tarik hon ghar jaana hai
apni be-laus mohabbat ka bharam hai mujh ko
koi ummid nahin un se magar jaana hai
kuchh na baqi rahe rishte mein tawaqqo' to rahe
muskura kar to na ja dil se utar jaana hai
ek din 'ishq mein jismon ki hukumat hogi
ek din tash ke mahlon ko bikhar jaana hai
dar-ba-dar ho ke bhi hijrat to na aasan hui
panw patthar hue jate hain kidhar jaana hai
mushkilen us ke sawalon mein banae rakhna
aate hon to bhi jawabon se mukar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.