ho dair ya haram jo uThaun nazar ko main
ho dair ya haram jo uThaun nazar ko main
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
ho dair yā haram jo uThā.ūñ nazar ko maiñ
dekhūñ ba-qadr-e-zarf tire sang-e-dar ko maiñ
kyoñ hāl-e-dil sunā.ūñ kisī chārāgar ko maiñ
apnā banā chukā huuñ ġham-e-mo'tabar ko maiñ
zauq-e-nigāh azm-e-tajassus kī daad de
tārīkiyoñ meñ DhūñD rahā huuñ sahar ko maiñ
nazzārgī-e-shauq kā e.ajāz al-amāñ
paatā huuñ aaj dil ke muqābil nazar ko maiñ
naqsh-o-nigār-e-zīst ke āsār haiñ ayaañ
kaise chhupā.ūñ parda-e-shab meñ sahar ko maiñ
raat intizār-e-dost qayāmat se kam na thā
hasrat se dekhtā rahā dīvār-o-dar ko maiñ
roz-e-azal kī azmateñ le kar ḳhayāl meñ
tai kar rahā huuñ ziist kī har rahguzar ko maiñ
ai 'dard' pūchhiye na mirī vus.at-e-nigāh
apnī nazar meñ rakhtā huuñ shams-o-qamar ko maiñ
ho dair ya haram jo uThaun nazar ko main
dekhun ba-qadr-e-zarf tere sang-e-dar ko main
kyon haal-e-dil sunaun kisi chaaragar ko main
apna bana chuka hun gham-e-mo'tabar ko main
zauq-e-nigah azm-e-tajassus ki dad de
tarikiyon mein DhunD raha hun sahar ko main
nazzargi-e-shauq ka eajaz al-aman
pata hun aaj dil ke muqabil nazar ko main
naqsh-o-nigar-e-zist ke aasar hain ayan
kaise chhupaun parda-e-shab mein sahar ko main
raat intizar-e-dost qayamat se kam na tha
hasrat se dekhta raha diwar-o-dar ko main
roz-e-azal ki azmaten le kar KHayal mein
tai kar raha hun zist ki har rahguzar ko main
ai 'dard' puchhiye na meri wusat-e-nigah
apni nazar mein rakhta hun shams-o-qamar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.