ho dawa mere maraz ki to mujhe la kar de
ho davā mere maraz kī to mujhe lā kar de
yā mire haq meñ duā hī tū ḳhudārā kar de
tū bhale aa na magar dil kī tasallī ke liye
be-ruḳhī yuuñ na dikhā koī bahāna kar de
is se pahle ki shikāyat mirī pahuñche tujh tak
tū mujhe bazm se jaane kā ishāra kar de
pattharoñ ko hai ye Dar daur-e-munāsib meñ kahīñ
un ko chhū kar na koī raam ahliya kar de
hai miyāñ vaqt ye varna jo jamūrā chāhe
vo kisī din bhī madārī ko tamāshā kar de
apne is ilm pe shohrat kī havas hai bhārī
jo ki ġhairat ko bhī jab chaah le andhā kar de
'rāz' tū sach bhī jo kahtā hai burā lagtā hai
ye zabāñ terī kisī ko bhī parāyā kar de
ho dawa mere maraz ki to mujhe la kar de
ya mere haq mein dua hi tu KHudara kar de
tu bhale aa na magar dil ki tasalli ke liye
be-ruKHi yun na dikha koi bahana kar de
is se pahle ki shikayat meri pahunche tujh tak
tu mujhe bazm se jaane ka ishaara kar de
pattharon ko hai ye Dar daur-e-munasib mein kahin
un ko chhu kar na koi ram ahliya kar de
hai miyan waqt ye warna jo jamura chahe
wo kisi din bhi madari ko tamasha kar de
apne is ilm pe shohrat ki hawas hai bhaari
jo ki ghairat ko bhi jab chah le andha kar de
'raaz' tu sach bhi jo kahta hai bura lagta hai
ye zaban teri kisi ko bhi paraya kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.