ho gae bichhDe hue un ko zamane kitne
ho ga.e bichhḌe hue un ko zamāne kitne
dil meñ mahfūz abhī tak haiñ fasāne kitne
ek mā'mūlī sī taklīf pe kyoñ chīḳh uThe
zindagī hai to abhī dukh haiñ uThāne kitne
kar liyā 'ahd to phir us ko nibhānā sīkho
tum banāte ho har ik roz bahāne kitne
aur hote haiñ jinheñ hotī hai daulat kī talab
ham ne Thukrā diye duniyā ke ḳhazāne kitne
yūñhī aa jaane se dīdār nahīñ ho saktā
ik jhalak paane meñ lagte haiñ zamāne kitne
us ke lahje meñ takabbur kī ramaq hai ab bhī
roz gintā hai vo tasbīh ke daane kitne
shā'irī ham ko virāsat meñ milī hai 'nāzir'
kah ga.e giit ġhazal aur tarāne kitne
ho gae bichhDe hue un ko zamane kitne
dil mein mahfuz abhi tak hain fasane kitne
ek ma'muli si taklif pe kyon chiKH uThe
zindagi hai to abhi dukh hain uThane kitne
kar liya 'ahd to phir us ko nibhana sikho
tum banate ho har ek roz bahane kitne
aur hote hain jinhen hoti hai daulat ki talab
hum ne Thukra diye duniya ke KHazane kitne
yunhi aa jaane se didar nahin ho sakta
ek jhalak pane mein lagte hain zamane kitne
us ke lahje mein takabbur ki ramaq hai ab bhi
roz ginta hai wo tasbih ke dane kitne
sha'iri hum ko wirasat mein mili hai 'nazir'
kah gae git ghazal aur tarane kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.