ho gae hath qalam ye to KHabar honi thi
ho ga.e haath qalam ye to ḳhabar honī thī
lekin is zulm se tā.īd-e-hunar honī thī
husn jalva hai ki parda hai ki mahrūmī hai
aise andeshoñ meñ badnām nazar honī thī
tum to bas mash.aleñ le kar sū-e-manzil nikle
raushnī sīnoñ meñ hamrāh-e-safar honī thī
fikr jazbe kī tahārat hai gunahgār na kar
jo ġhalat baat thī mahrūm-e-asar honī thī
mo'tariz koī na thā zar kī suḳhan-goī par
muflisī muft meñ badnām magar honī thī
us kī muTThī meñ mire ashk kī qīmat ko na pūchh
siip meñ aate hī ye buuñd guhar honī thī
maiñ to āvāz thā kaise nazar aatā ai 'nūr'
sirf rusvā.ī-e-arbāb-e-nazar honī thī
ho gae hath qalam ye to KHabar honi thi
lekin is zulm se taid-e-hunar honi thi
husn jalwa hai ki parda hai ki mahrumi hai
aise andeshon mein badnam nazar honi thi
tum to bas mashalen le kar su-e-manzil nikle
raushni sinon mein hamrah-e-safar honi thi
fikr jazbe ki tahaarat hai gunahgar na kar
jo ghalat baat thi mahrum-e-asar honi thi
mo'tariz koi na tha zar ki suKHan-goi par
muflisi muft mein badnam magar honi thi
us ki muTThi mein mere ashk ki qimat ko na puchh
sip mein aate hi ye bund guhar honi thi
main to aawaz tha kaise nazar aata ai 'nur'
sirf ruswai-e-arbab-e-nazar honi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.