ho gae mujhse KHafa sarkar kyon
ho ga.e mujh se ḳhafā sarkār kyoñ
kahne sunñe se hue bezār kyoñ
mubtalā-e-ishq jān-e-zār kyoñ
dil harīs-e-lazzat-e-āzār kyoñ
qat.a kar ke zindagī kī har umiid
pūchhte ho hālat-e-bīmār kyoñ
teġh-e-abrū kar rahī hai qatl-e-ām
ma.arke meñ hājat-e-talvār kyoñ
ġhair-mumkin hai davā-e-dard-e-dil
paa.e sehat ishq kā bīmār kyoñ
utre bahr-e-ishq meñ ḳhanjar ke ghaaT
tālibān-e-abrū-e-ḳhamdār kyoñ
ai zuleḳhā bik ga.e ban kar ġhulām
hazrat-e-yūsuf sar-e-bāzār kyoñ
dozaḳh-o-jannat kā vaa.iz muft meñ
bāñdhte haiñ is qadar tūmār kyoñ
hazrat-e-'mas.ūd' hijr-e-yār meñ
ho ga.ī hai zindagī dushvār kyoñ
ho gae mujh se KHafa sarkar kyon
kahne sunne se hue bezar kyon
mubtala-e-ishq jaan-e-zar kyon
dil haris-e-lazzat-e-azar kyon
qata kar ke zindagi ki har umid
puchhte ho haalat-e-bimar kyon
tegh-e-abru kar rahi hai qatl-e-am
marke mein hajat-e-talwar kyon
ghair-mumkin hai dawa-e-dard-e-dil
pae sehat ishq ka bimar kyon
utre bahr-e-ishq mein KHanjar ke ghaT
taliban-e-abru-e-KHamdar kyon
ai zuleKHa bik gae ban kar ghulam
hazrat-e-yusuf sar-e-bazar kyon
dozaKH-o-jannat ka waiz muft mein
bandhte hain is qadar tumar kyon
hazrat-e-'masud' hijr-e-yar mein
ho gai hai zindagi dushwar kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.