ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum
ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum
Ahmad Husain Mail
MORE BYAhmad Husain Mail
ho ga.e muztar dekhte hī vo hiltī zulfeñ phirtī nazar ham
dete haiñ dil ik āfat-e-jāñ ko thāme hue hāthoñ se jigar ham
ġhair ko gar vo pyaar kareñge apne lahū meñ hoñge tar ham
Daal hī deñge un ke qadam par kaaT kar apne haath se sar ham
sulh huī to naale khīñche yuuñ karte haiñ sab ko ḳhabar ham
pīTte haiñ siine kā DhiñDhorā dete haiñ dil bār-e-digar ham
aur mileñge chhoḌ na deñge sun ke sadā-e-murġh-e-sahar ham
halqa donoñ haath kā apne Daal rakheñge gird-e-kamar ham
dil ke andar tuur ke uupar chashm-e-sanam meñ ain haram meñ
terī hī sūrat terī hī mūrat pūjne jaa.eñ tujh ko kidhar ham
raaz chhupte to āġhāz achchhā bhed khule to anjām achchhā
misl-e-sikandar bhes badal kar jaate haiñ ban kar nāma-bar ham
andāza go kar hī chuke haiñ aa jaatī hai muTThī meñ ye
aaj magar be-parda kareñge dekheñge patlī sī kamar ham
laate hī kuchh rañg-e-javānī aañkh se yuuñ kiiñ aañkh ne bāteñ
aao dikhā.eñ sab ko ghāteñ sho.abda-gar tum jādūgar ham
kahtī haiñ zulfeñ mushkīñ kas leñ koī jo Daale haath kamar meñ
phail ke so.o Dar kyā tum ko gasht kareñge gird-e-kamar ham
lutf baḌā ho aur mazā ho is ke 'evaz gar aap ko paa.eñ
baiTh ke apne ghar ke andar DhūñDh rahe haiñ yaar kā ghar ham
tum ko nazākat aur ḳhudā de ham ko lazzat aur ḳhudā de
pā.eñche tum chuTkī se uThā lo thāme hue chalte haiñ kamar ham
uThtā joban jhuktī gardan dabtī bāteñ ruktī ghāteñ
haa.e na kyuuñ sau jaañ se fidā hoñ in chāroñ par uTh phir ham
saaya ban kar saath chaleñge saath phireñge saath raheñge
apne ghar meñ ġhair ke dil meñ jaao jidhar tum aa.eñ udhar ham
jald tum uTTho dauḌ ke aao ham ko thāmo ham ko sambhālo
girte haiñ misl-e-ashk zamīñ par uThte haiñ shakl-e-dard-e-jigar ham
sab se chhuḌā kar laa.e uḌā kar kyā na rakheñge dil meñ chhupā kar
rahne basne chalne phirne tum ko ḳhudā kā deñge ghar ham
muñh jo khulegā rañj baḌhegā ham se na bolo ham ko na chheḌo
kāhīda-tan āzurda-jān āshufta-dil ḳhasta-jigar ham
ye to chhapar-khaT chhoTā sā hai pahlū meñ tum so.oge kyūñkar
aao liTā leñ siine par ham tum ko sulā leñ chhātī par ham
rañj gar aayā ho to bhulā de pyaar baḌhā de ham se milā de
un kī nigah se to gir to chuke haiñ jaa.eñ na yārab dil se utar ham
dekh ke un kā joban ubhrā maiñ ne kahā ye maal hai achchhā
bole vo kyā tum luuT hī loge god meñ yuuñ aa jaa.eñ agar ham
Thahrī hai bāham lutf kī baazī pahle jo paa.e jiit usī kī
vasl kī shab hai DhūñDh rahe haiñ dil vo hamārā un kī kamar ham
roz na.e dil laa.eñ kahāñ se aise tohfe paa.eñ kahāñ se
chaaT paḌī hai tum ko diloñ kī lūTne jaa.eñ kis kā ghar ham
ġhair ke bar meñ un ko dekhā ḳhaak meñ jaa.e aisā nazāra
haath meñ kam-baḳht aa nahīñ saktā toḌte varna tār-e-nazar ham
nashv-o-numā paa.ī hai deccan meñ qadr hamārī kyūñkar hogī
ghar kī murġhī daal barābar kis ko dikhā.eñ apnā hunar ham
kyuuñ na kare dīvāna kisī ko sharm kī 'ādat husn kī shoḳhī
ho ga.e 'mā.il' dekh ke maa.il uThtā joban jhuktī nazar ham
ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum
dete hain dil ek aafat-e-jaan ko thame hue hathon se jigar hum
ghair ko gar wo pyar karenge apne lahu mein honge tar hum
Dal hi denge un ke qadam par kaT kar apne hath se sar hum
sulh hui to nale khinche yun karte hain sab ko KHabar hum
piTte hain sine ka DhinDhora dete hain dil bar-e-digar hum
aur milenge chhoD na denge sun ke sada-e-murgh-e-sahar hum
halqa donon hath ka apne Dal rakhenge gird-e-kamar hum
dil ke andar tur ke upar chashm-e-sanam mein ain haram mein
teri hi surat teri hi murat pujne jaen tujh ko kidhar hum
raaz chhupte to aaghaz achchha bhed khule to anjam achchha
misl-e-sikandar bhes badal kar jate hain ban kar nama-bar hum
andaza go kar hi chuke hain aa jati hai muTThi mein ye
aaj magar be-parda karenge dekhenge patli si kamar hum
late hi kuchh rang-e-jawani aankh se yun kin aankh ne baaten
aao dikhaen sab ko ghaten shoabda-gar tum jadugar hum
kahti hain zulfen mushkin kas len koi jo Dale hath kamar mein
phail ke soo Dar kya tum ko gasht karenge gird-e-kamar hum
lutf baDa ho aur maza ho is ke 'ewaz gar aap ko paen
baiTh ke apne ghar ke andar DhunDh rahe hain yar ka ghar hum
tum ko nazakat aur KHuda de hum ko lazzat aur KHuda de
paenche tum chuTki se uTha lo thame hue chalte hain kamar hum
uThta joban jhukti gardan dabti baaten rukti ghaten
hae na kyun sau jaan se fida hon in chaaron par uTh phir hum
saya ban kar sath chalenge sath phirenge sath rahenge
apne ghar mein ghair ke dil mein jao jidhar tum aaen udhar hum
jald tum uTTho dauD ke aao hum ko thamo hum ko sambhaalo
girte hain misl-e-ashk zamin par uThte hain shakl-e-dard-e-jigar hum
sab se chhuDa kar lae uDa kar kya na rakhenge dil mein chhupa kar
rahne basne chalne phirne tum ko KHuda ka denge ghar hum
munh jo khulega ranj baDhega hum se na bolo hum ko na chheDo
kahida-tan aazurda-jaan aashufta-dil KHasta-jigar hum
ye to chhapar-khaT chhoTa sa hai pahlu mein tum sooge kyunkar
aao liTa len sine par hum tum ko sula len chhati par hum
ranj gar aaya ho to bhula de pyar baDha de hum se mila de
un ki nigah se to gir to chuke hain jaen na yarab dil se utar hum
dekh ke un ka joban ubhra main ne kaha ye mal hai achchha
bole wo kya tum luT hi loge god mein yun aa jaen agar hum
Thahri hai baham lutf ki bazi pahle jo pae jit usi ki
wasl ki shab hai DhunDh rahe hain dil wo hamara un ki kamar hum
roz nae dil laen kahan se aise tohfe paen kahan se
chaT paDi hai tum ko dilon ki luTne jaen kis ka ghar hum
ghair ke bar mein un ko dekha KHak mein jae aisa nazara
hath mein kam-baKHt aa nahin sakta toDte warna tar-e-nazar hum
nashw-o-numa pai hai deccan mein qadr hamari kyunkar hogi
ghar ki murghi dal barabar kis ko dikhaen apna hunar hum
kyun na kare diwana kisi ko sharm ki 'adat husn ki shoKHi
ho gae 'mail' dekh ke mail uThta joban jhukti nazar hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.