ho gae sahrai qismat aazmane ke liye
ho ga.e sahrā.ī qismat āzmāne ke liye
ghar kā āñgan chhoḌ aa.e ghar banāne ke liye
ek sajda ḳhair-o-shar ke darmiyāñ thā faisla
ek pal faisal huā saare zamāne ke liye
apne ehsāsāt kyā apnī guzar-auqāt kyā
ashk piine ke liye haiñ zaḳhm khāne ke liye
shaah ke mahloñ meñ shīrīñ qaid ho kar rah ga.ī
ham hue farhād bas nahreñ bahāne ke liye
aap ne to saarī bastī meñ charāġhāñ kar diyā
ik diyā kaafī thā merā ghar jalāne ke liye
thī haqīqat aur hī kuchh ḳhush-gumānī aur kuchh
us ne merā naam likkhā thā miTāne ke liye
ishq vāloñ kā zamāne se alag dastūr hai
dil kī baazī khelte haiñ haar jaane ke liye
qāfile vaalo tumheñ ma.alūm hai rāz-e-safar
rāhzan rakkhe ga.e rasta dikhāne ke liye
saare jangal meñ lagī hai aag to kis se kaheñ
ham ne kuchh tinke chune the āshiyāne ke liye
ho gae sahrai qismat aazmane ke liye
ghar ka aangan chhoD aae ghar banane ke liye
ek sajda KHair-o-shar ke darmiyan tha faisla
ek pal faisal hua sare zamane ke liye
apne ehsasat kya apni guzar-auqat kya
ashk pine ke liye hain zaKHm khane ke liye
shah ke mahlon mein shirin qaid ho kar rah gai
hum hue farhad bas nahren bahane ke liye
aap ne to sari basti mein charaghan kar diya
ek diya kafi tha mera ghar jalane ke liye
thi haqiqat aur hi kuchh KHush-gumani aur kuchh
us ne mera nam likkha tha miTane ke liye
ishq walon ka zamane se alag dastur hai
dil ki bazi khelte hain haar jaane ke liye
qafile walo tumhein malum hai raaz-e-safar
rahzan rakkhe gae rasta dikhane ke liye
sare jangal mein lagi hai aag to kis se kahen
hum ne kuchh tinke chune the aashiyane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.