ho gai barham nigah-e-shauq shayad yar ki
ho ga.ī barham nigāh-e-shauq shāyad yaar kī
ujḌī ujḌī sī hai sūrat nargis-e-bīmār kī
jaam par jaam aaj saaqī ne nigāhoñ se diye
phir bhī bhartī hī nahīñ niyyat kisī mai-ḳhvār kī
phir nigāhoñ meñ koī sūrat kabhī utrī nahīñ
dekh lī thī ik jhalak maiñ ne jamāl-e-yār kī
phūñk degā terī bīnā.ī jamāl-e-rū-e-yār
taab phir lā.egā kaise husn ke dīdār kī
aa.ine 'zīshān' bikhre haiñ zamīñ par TuuT kar
sah na paa.e ye bhī shiddat garmi-e-ruḳhsār kī
ho gai barham nigah-e-shauq shayad yar ki
ujDi ujDi si hai surat nargis-e-bimar ki
jam par jam aaj saqi ne nigahon se diye
phir bhi bharti hi nahin niyyat kisi mai-KHwar ki
phir nigahon mein koi surat kabhi utri nahin
dekh li thi ek jhalak main ne jamal-e-yar ki
phunk dega teri binai jamal-e-ru-e-yar
tab phir laega kaise husn ke didar ki
aaine 'zishan' bikhre hain zamin par TuT kar
sah na pae ye bhi shiddat garmi-e-ruKHsar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.