ho gai sham chamakte hain diye pani par
ho ga.ī shaam chamakte haiñ diye paanī par
haath rakh de mirī taptī huī peshānī par
garm aahoñ se jhulastī hai kitāb-e-ehsās
naala aatā hai mirī soḳhta-sāmānī par
ik musāfir pe sitam dhuup ke tauba tauba
ik shajar vo bhī utar aaya hai man-mānī par
ab kahāñ nargisī āñkhoñ meñ sharārat kā shu.ūr
ab kahāñ jashn-e-tabassum tirī nādānī par
mujh se mat maañg mirī umr-e-gurezāñ kā hisāb
phuul hañste haiñ mire zaḳhm kī uryānī par
āḳhirash un ke diyoñ ko bhī havā rauñd ga.ī
naaz thā jin ko havāoñ kī nigahbānī par
sang ko gauhar-e-nāyāb samajhte rahnā
ma.azarat dīda-e-nā-ḳhūb kī nādānī par
saaf ashkoñ ke chhalakne se huā shīsha-e-dil
jaise chaltī ho koī mauj-e-havā paanī par
kyā hue chashm-e-zuleḳhā vo suhāne sapne
misr kyoñ baar hai ab yūsuf-e-kan'ānī par
chashm-o-abrū lab-o-ruḳhsār jabīn-o-kākul
kis ne rakkhī hai har ik shai had-e-imkānī par
kufr to aaj bhī hai daulat-e-īmāñ kā raqīb
kyā musalmān bhī qaa.em hai musalmānī par
mere hisse meñ rahī sirf adā-e-e'rāz
dard ko daad milī merī ġhazal-ḳhvānī par
jhiil par kaun chalā aaya hai 'bazmī' sar-e-shām
aks-e-mahtāb laraztā sā lagā paanī par
ho gai sham chamakte hain diye pani par
hath rakh de meri tapti hui peshani par
garm aahon se jhulasti hai kitab-e-ehsas
nala aata hai meri soKHta-samani par
ek musafir pe sitam dhup ke tauba tauba
ek shajar wo bhi utar aaya hai man-mani par
ab kahan nargisi aankhon mein shararat ka shuur
ab kahan jashn-e-tabassum teri nadani par
mujh se mat mang meri umr-e-gurezan ka hisab
phul hanste hain mere zaKHm ki uryani par
aaKHirash un ke diyon ko bhi hawa raund gai
naz tha jin ko hawaon ki nigahbani par
sang ko gauhar-e-nayab samajhte rahna
mazarat dida-e-na-KHub ki nadani par
saf ashkon ke chhalakne se hua shisha-e-dil
jaise chalti ho koi mauj-e-hawa pani par
kya hue chashm-e-zuleKHa wo suhane sapne
misr kyon bar hai ab yusuf-e-kan'ani par
chashm-o-abru lab-o-ruKHsar jabin-o-kakul
kis ne rakkhi hai har ek shai had-e-imkani par
kufr to aaj bhi hai daulat-e-iman ka raqib
kya musalman bhi qaem hai musalmani par
mere hisse mein rahi sirf ada-e-e'raaz
dard ko dad mili meri ghazal-KHwani par
jhil par kaun chala aaya hai 'bazmi' sar-e-sham
aks-e-mahtab larazta sa laga pani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.