ho gaya aashiq kisi ka ru-e-taban dekh kar
ho gaya aashiq kisi ka ru-e-taban dekh kar
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
ho gayā āshiq kisī kā rū-e-tābāñ dekh kar
phañs gayā huuñ maiñ kisī kī zulf-e-pechāñ dekh kar
kyoñ tujhe allāh ne aisā banāyā sang-dil
baat bhī zālim na pūchhī mujh ko giryāñ dekh kar
ek din mujh ko nazar vo ḳhvāb meñ jo aa ga.e
chashm raushan ho ga.ī husn-e-farāvāñ dekh kar
abrū-e-pur-ḳham kī chaltī hai mire siine pe teġh
tiir lagte haiñ jigar par nok-e-mizhgāñ dekh kar
hai 'azīz' ab shukr vo gul-rū suḳhan sun kar tirā
qadr kuchh karne lagā tujh ko ġhazal-ḳhvāñ dekh kar
ho gaya aashiq kisi ka ru-e-taban dekh kar
phans gaya hun main kisi ki zulf-e-pechan dekh kar
kyon tujhe allah ne aisa banaya sang-dil
baat bhi zalim na puchhi mujh ko giryan dekh kar
ek din mujh ko nazar wo KHwab mein jo aa gae
chashm raushan ho gai husn-e-farawan dekh kar
abru-e-pur-KHam ki chalti hai mere sine pe tegh
tir lagte hain jigar par nok-e-mizhgan dekh kar
hai 'aziz' ab shukr wo gul-ru suKHan sun kar tera
qadr kuchh karne laga tujh ko ghazal-KHwan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.