ho gaya ab to KHayalon ka safar bhi dushwar
ho gayā ab to ḳhayāloñ kā safar bhī dushvār
duur tak raah meñ hai ḳhud mirī shohrat kā ġhubār
apne ḳhvāboñ ko liye ghar se na bāhar niklo
chār-sū shahr meñ hai nāchte sho.aloñ kī qatār
bārhā niiñd se yuuñ chauñk uThā huuñ jaise
mere bistar pe tirī yaad huī hai bedār
maiñ samajhtā huuñ ki ab sirf kutub-ḳhānoñ meñ
muñh zamāne se chhupā.e hue baiThī hai bahār
ruuh ke zaḳhm ubharte haiñ savāloñ kī tarah
maiñ kahīñ terī ḳhudā.ī se na kar duuñ inkār
tez-rau vaqt kī āñdhī meñ kahāñ tak āḳhir
kaam aa.egī umīdoñ kī ye kachchī dīvār
ek sailāb-e-havādis kā nishāñ haiñ 'jāmī'
aur kyā haiñ mire likkhe hue saare ash.ār
ho gaya ab to KHayalon ka safar bhi dushwar
dur tak rah mein hai KHud meri shohrat ka ghubar
apne KHwabon ko liye ghar se na bahar niklo
chaar-su shahr mein hai nachte shoalon ki qatar
barha nind se yun chaunk uTha hun jaise
mere bistar pe teri yaad hui hai bedar
main samajhta hun ki ab sirf kutub-KHanon mein
munh zamane se chhupae hue baiThi hai bahaar
ruh ke zaKHm ubharte hain sawalon ki tarah
main kahin teri KHudai se na kar dun inkar
tez-rau waqt ki aandhi mein kahan tak aaKHir
kaam aaegi umidon ki ye kachchi diwar
ek sailab-e-hawadis ka nishan hain 'jami'
aur kya hain mere likkhe hue sare ashaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.