ho gaya hai KHun ThanDa aag do
ho gayā hai ḳhuun ThanDā aag do
ek taaza ek zinda aag do
lamha lamha kāñptā hai merā dil
raat kaalī ḳhauf gahrā aag do
saañs lenā kis qadar dushvār hai
munjamid hai merā siina aag do
dast-o-pā ko sub.h tak rakhnā hai garm
sard sahrā sard ḳhema aag do
bādaloñ se āsmāñ ālūd hai
aur samundar barf-āsā aag do
bastiyoñ ne oḌh rakhā hai kafan
aur yahāñ har fard murda aag do
mujh meñ 'shāhid' hujra-e-tārīk hai
jism-o-jāñ haiñ sham-e-kushta aag do
ho gaya hai KHun ThanDa aag do
ek taza ek zinda aag do
lamha lamha kanpta hai mera dil
raat kali KHauf gahra aag do
sans lena kis qadar dushwar hai
munjamid hai mera sina aag do
dast-o-pa ko subh tak rakhna hai garm
sard sahra sard KHema aag do
baadalon se aasman aalud hai
aur samundar barf-asa aag do
bastiyon ne oDh rakha hai kafan
aur yahan har fard murda aag do
mujh mein 'shahid' hujra-e-tarik hai
jism-o-jaan hain sham-e-kushta aag do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.