ho gaya jis din se apna dil udas
ho gayā jis din se apnā dil udaas
ho ga.ī duniyā kī har mahfil udaas
dāġh-hā-e-yās se hai dil udaas
sham-e-mahfil se huī mahfil udaas
marne vaale jitne the kyā mar ga.e
phir rahā hai aaj kyoñ qātil udaas
dast-e-qātil meñ hinā hai ḳhuuñ nahīñ
is liye hai shoḳhī-e-qātil udaas
pher lī kis ne mohabbat kī nigāh
ho rahā hai kyoñ hamārā dil udaas
vaqt-e-āḳhir kyoñ na ho afsurdagī
sub.h ko ho jaatī hai mahfil udaas
bekasī gor-e-ġharībāñ kī na pūchh
uf hai kaTtī āḳhirī manzil udaas
aa.egā haañ vo sitamgar aa.egā
ho na itnā 'muztar'-e-be-dil udaas
ho gaya jis din se apna dil udas
ho gai duniya ki har mahfil udas
dagh-ha-e-yas se hai dil udas
sham-e-mahfil se hui mahfil udas
marne wale jitne the kya mar gae
phir raha hai aaj kyon qatil udas
dast-e-qatil mein hina hai KHun nahin
is liye hai shoKHi-e-qatil udas
pher li kis ne mohabbat ki nigah
ho raha hai kyon hamara dil udas
waqt-e-aKHir kyon na ho afsurdagi
subh ko ho jati hai mahfil udas
bekasi gor-e-ghariban ki na puchh
uf hai kaTti aaKHiri manzil udas
aaega han wo sitamgar aaega
ho na itna 'muztar'-e-be-dil udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.