ho gaya sab KHak muztar rah-e-parwana rahi
ho gaya sab KHak muztar rah-e-parwana rahi
Sufiya Deepika Kausar
MORE BYSufiya Deepika Kausar
ho gayā sab ḳhaak muztar rāh-e-parvāna rahī
bazm meñ raushan sahar tak jān-e-jānāna rahī
haisiyat kyā aur haqīqat kyā bhalā is ḳhaak kī
us ke har naqsh-e-qadam par phir bhī nazrāna rahī
pyaas kā zarf aise khul jā.egā kab ma.alūm thā
tishnagī jām-o-subū tak pīr-e-mai-ḳhāna rahī
kī taḳhayyul ne mire paikar-tarāshī is qadar
dil sanam-ḳhāna rahā aañkh ā.ina-ḳhāna rahī
kam na thī mīnā-e-hastī meñ mai-e-jalva magar
tishna-kāmī hī hayāt-e-nau kā paimāna rahī
roz-e-avval se abad tak aap yaksāñ rah ga.ī
rind thī apnī tabī.at yuuñ hī rindāna rahī
tum haqīqat pūchhte ho ishq 'kausar' kī suno
dasht-o-sahrā kī kahānī apnā afsāna rahī
ho gaya sab KHak muztar rah-e-parwana rahi
bazm mein raushan sahar tak jaan-e-jaanana rahi
haisiyat kya aur haqiqat kya bhala is KHak ki
us ke har naqsh-e-qadam par phir bhi nazrana rahi
pyas ka zarf aise khul jaega kab malum tha
tishnagi jam-o-subu tak pir-e-mai-KHana rahi
ki taKHayyul ne mere paikar-tarashi is qadar
dil sanam-KHana raha aankh aaina-KHana rahi
kam na thi mina-e-hasti mein mai-e-jalwa magar
tishna-kaami hi hayat-e-nau ka paimana rahi
roz-e-awwal se abad tak aap yaksan rah gai
rind thi apni tabiat yun hi rindana rahi
tum haqiqat puchhte ho ishq 'kausar' ki suno
dasht-o-sahra ki kahani apna afsana rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.