ho gaya sunsan sara shahr har ghar so gaya
ho gaya sunsan sara shahr har ghar so gaya
Mohammad Saleemur Rahman
MORE BYMohammad Saleemur Rahman
ho gayā sunsān saarā shahr har ghar so gayā
merī āñkheñ jāgtī haiñ saarā manzar so gayā
phir vo shahr-e-ajnabī tanhā.iyoñ kī sard raat
oḌh kar yādoñ kī vo mailī sī chādar so gayā
raat din ke darmiyāñ guzrī hai aise zindagī
ek manzar jāgtā thā ek manzar so gayā
kashtiyāñ sāhil pe lahroñ ko tarastī rah ga.iiñ
aur zamīñ kī god meñ leTā samundar so gayā
in thakī āñkhoñ ko le kar ghar chalo tum bhī ai dost
raunaqeñ sab bujh ga.iiñ har ek manzar so gayā
ho gaya sunsan sara shahr har ghar so gaya
meri aankhen jagti hain sara manzar so gaya
phir wo shahr-e-ajnabi tanhaiyon ki sard raat
oDh kar yaadon ki wo maili si chadar so gaya
raat din ke darmiyan guzri hai aise zindagi
ek manzar jagta tha ek manzar so gaya
kashtiyan sahil pe lahron ko tarasti rah gain
aur zamin ki god mein leTa samundar so gaya
in thaki aankhon ko le kar ghar chalo tum bhi ai dost
raunaqen sab bujh gain har ek manzar so gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.