ho hi jata hai kisi tarah guzara apna
ho hī jaatā hai kisī tarah guzārā apnā
varna ab shahr meñ hai kaun hamārā apnā
dil ke dariyā meñ huiiñ ġharq tamannā.eñ to kyā
mauja-e-ḳhūñ se hai gul-rang kināra apnā
kis qadar sang-e-malāmat hai mire chāroñ taraf
maiñ ne us dar pe yūñhī sar nahīñ maarā apnā
ik tamāshā hī sahī aaj havā deñ is ko
aur kis din ke liye thā ye sharāra apnā
naam ūñchā rahe ai pastī-e-duniyā terā
hai tire dam se bulandī pe sitāra apnā
ho hi jata hai kisi tarah guzara apna
warna ab shahr mein hai kaun hamara apna
dil ke dariya mein huin gharq tamannaen to kya
mauja-e-KHun se hai gul-rang kinara apna
kis qadar sang-e-malamat hai mere chaaron taraf
main ne us dar pe yunhi sar nahin mara apna
ek tamasha hi sahi aaj hawa den is ko
aur kis din ke liye tha ye sharara apna
nam uncha rahe ai pasti-e-duniya tera
hai tere dam se bulandi pe sitara apna
- Book : غبار حیرانی (Pg. 115)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.