ho jate hain jab aap bhi hairan dekh kar
ho jaate haiñ jab aap bhī hairān dekh kar
hañstā huuñ apnā chaak garebān dekh kar
phūloñ kā rañg-o-rūp nikhartā chalā gayā
nāzuk laboñ pe aap ke muskān dekh kar
ik bevafā kā pyaar mujhe yaad aa gayā
daur-e-ḳhizāñ meñ baaġh ko vīrān dekh kar
chalte haiñ jab vo naaz se kahtī hai yuuñ bahār
ai dilrubā sambhal ke mirī jaan dekh kar
ahl-e-vafā ko apnī vafāoñ pe naaz hai
jaur-o-sitam pe un ko pashemān dekh kar
kuchh to ḳhudā ke vāste batlāo kyā huā
bechain huuñ maiñ tum ko pareshān dekh kar
anvar janāb-e-shaiḳh kī niyyat badal ga.ī
bāzār meñ sharāb kī dūkān dekh kar
ho jate hain jab aap bhi hairan dekh kar
hansta hun apna chaak gareban dekh kar
phulon ka rang-o-rup nikharta chala gaya
nazuk labon pe aap ke muskan dekh kar
ek bewafa ka pyar mujhe yaad aa gaya
daur-e-KHizan mein bagh ko viran dekh kar
chalte hain jab wo naz se kahti hai yun bahaar
ai dilruba sambhal ke meri jaan dekh kar
ahl-e-wafa ko apni wafaon pe naz hai
jaur-o-sitam pe un ko pasheman dekh kar
kuchh to KHuda ke waste batlao kya hua
bechain hun main tum ko pareshan dekh kar
anwar janab-e-shaiKH ki niyyat badal gai
bazar mein sharab ki dukan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.