ho jo mumkin to gaya waqt bulaun wapas
ho jo mumkin to gayā vaqt bulā.ūñ vāpas
zindagī phir se tujhe DhūñD ke lā.ūñ vāpas
kuchh tire naqsh jo āñkhoñ meñ chhupā rakkhe the
sochtā huuñ inheñ paanī meñ bahā.ūñ vāpas
ek hī qatl se us shaḳhs ne kar lī tauba
ai ḳhudā terī qasam sar ko jhukā.ūñ vāpas
rog to rog hai kab tak maiñ uThā.ūñ is ko
kyā tumheñ 'ahd-e-vafā yaad dilā.ūñ vāpas
koī hamdam nahīñ sāthī nahīñ tanhā.ī hai
kyoñ na us shaḳhs ke phir naaz uThā.ūñ vāpas
vo to aa.e the ga.e jaan se ḳhālī kar ke
kyā zarūrī hai ki maiñ jaan meñ jā.ūñ vāpas
merī taqdīr ki ab vo bhī nahīñ haiñ apne
zaḳhm hī zaḳhm haiñ kāñToñ pe lagā.ūñ vāpas
ab yahāñ kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ hai 'barham'
ab tire shahr meñ kis ke liye aa.uuñ vāpas
ho jo mumkin to gaya waqt bulaun wapas
zindagi phir se tujhe DhunD ke laun wapas
kuchh tere naqsh jo aankhon mein chhupa rakkhe the
sochta hun inhen pani mein bahaun wapas
ek hi qatl se us shaKHs ne kar li tauba
ai KHuda teri qasam sar ko jhukaun wapas
rog to rog hai kab tak main uThaun is ko
kya tumhein 'ahd-e-wafa yaad dilaun wapas
koi hamdam nahin sathi nahin tanhai hai
kyon na us shaKHs ke phir naz uThaun wapas
wo to aae the gae jaan se KHali kar ke
kya zaruri hai ki main jaan mein jaun wapas
meri taqdir ki ab wo bhi nahin hain apne
zaKHm hi zaKHm hain kanTon pe lagaun wapas
ab yahan kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin hai 'barham'
ab tere shahr mein kis ke liye aaun wapas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.