ho kash ye shuur ki hain mehman kahin
ho kash ye shuur ki hain mehman kahin
Syed Ghayasuddin Saleem
MORE BYSyed Ghayasuddin Saleem
ho kaash ye shu.ūr ki haiñ mehmāñ kahīñ
ehsās-e-mezbāñ pe na ham hoñ girāñ kaheñ
ye bhī ḳhayāl rakhte haiñ kuchh zākirān-e-haq
kahtī na ho kuchh aur amal kī zabāñ kahīñ
ham āshnā-e-zāt vo begāna-e-sifāt
ye baat dostī ke hai shāyān-e-shāñ kahīñ
irfān-e-haq ke haq meñ milī hai ḳhirad hameñ
daulat ye be-panāh na ho rā.egāñ kahīñ
chashm-e-talab meñ koī samā.e muhāl ye
husn-e-razā-e-yār nazar aa.e haañ kahīñ
rāh-e-vafā meñ is liye phirtā huuñ sar-ba-kaf
mil jaa.e kab vo dushman-e-ārām-e-jāñ kahīñ
terī talab nahīñ hai mirī jaañ ki jā sake
letā hai is tarah bhī koī imtihāñ kahīñ
ham rah-ravān-e-shauq haiñ manzil kī fikr kyā
le jaa.eñ naqsh-e-pā tire ham ko jahāñ kahīñ
karte nahīñ kisī pe ayaañ ham ki ai 'salīm'
darmān-e-zindagī ho ye dard-e-nihāñ kahīñ
ho kash ye shuur ki hain mehman kahin
ehsas-e-mezban pe na hum hon giran kahen
ye bhi KHayal rakhte hain kuchh zakiran-e-haq
kahti na ho kuchh aur amal ki zaban kahin
hum aashna-e-zat wo begana-e-sifat
ye baat dosti ke hai shayan-e-shan kahin
irfan-e-haq ke haq mein mili hai KHirad hamein
daulat ye be-panah na ho raegan kahin
chashm-e-talab mein koi samae muhaal ye
husn-e-raza-e-yar nazar aae han kahin
rah-e-wafa mein is liye phirta hun sar-ba-kaf
mil jae kab wo dushman-e-aram-e-jaan kahin
teri talab nahin hai meri jaan ki ja sake
leta hai is tarah bhi koi imtihan kahin
hum rah-rawan-e-shauq hain manzil ki fikr kya
le jaen naqsh-e-pa tere hum ko jahan kahin
karte nahin kisi pe ayan hum ki ai 'salim'
darman-e-zindagi ho ye dard-e-nihan kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.