ho kashf-e-nazar hum pe to ho jae ayan aur
ho kashf-e-nazar ham pe to ho jaa.e ayaañ aur
dīdār musalsal ho samāñ par ho samāñ aur
ho kun-fa-yakūn aur chale kār-e-zamāñ aur
paidā na.e taare hoñ munavvar ho jahāñ aur
hoñ mahr-o-mah-o-najm mire paañv ke nīche
hoñ ḳhuld se uupar bhī bahut kaun-o-makāñ aur
ho raḳht-e-safar sūrat-e-burrāq hamārā
me.arāj pe me.arāj ho har roz yahāñ aur
gardish ho ishāroñ pe mire shams-o-qamar kī
bāñTūñ maiñ har ik fard ko ik umr-e-ravāñ aur
ḳhaliyoñ meñ jo ghaḌiyāñ haiñ vo qaabū meñ hoñ apne
dil aa.e to piirī ho dil aa.e to javāñ aur
ho pairahan-e-sub.h meñ sadiyoñ kā ujālā
ho phir na kabhī shaam kī laalī meñ fuġhāñ aur
ho masjid-e-nabvī mirī āvāz bilālī
vo sāmne baiThe hoñ maiñ duuñ ek azaañ aur
'safvat' sar-e-fihrist haiñ go lauh-e-taḳhayyul
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
ho kashf-e-nazar hum pe to ho jae ayan aur
didar musalsal ho saman par ho saman aur
ho kun-fa-yakun aur chale kar-e-zaman aur
paida nae tare hon munawwar ho jahan aur
hon mahr-o-mah-o-najm mere panw ke niche
hon KHuld se upar bhi bahut kaun-o-makan aur
ho raKHt-e-safar surat-e-burraq hamara
mearaj pe mearaj ho har roz yahan aur
gardish ho ishaaron pe mere shams-o-qamar ki
banTun main har ek fard ko ek umr-e-rawan aur
KHaliyon mein jo ghaDiyan hain wo qabu mein hon apne
dil aae to piri ho dil aae to jawan aur
ho pairahan-e-subh mein sadiyon ka ujala
ho phir na kabhi sham ki lali mein fughan aur
ho masjid-e-nabwi meri aawaz bilali
wo samne baiThe hon main dun ek azan aur
'safwat' sar-e-fihrist hain go lauh-e-taKHayyul
kahte hain ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.