ho ke ek roz phir baham hum tum
ho ke ik roz phir baham ham tum
baañT leñ is jahāñ kā ġham ham tum
ab koī dil kisī se ho na judā
ahd aa kar leñ kam se kam ham tum
pyaar anqā hai is zamāne meñ
rakh rahe haiñ bas ik bharam ham tum
ho hī jā.egā jān-o-dil kā hisāb
phir hue gar kabhī baham ham tum
jaate Dartā hai jis taraf ye jahāñ
ab uThā leñ udhar qadam ham tum
muttahid ho to ai chaman vaalo
toḌ deñ bāzū-e-sitam ham tum
aao mil-jul ke baañT leñ yaaro
fikr-e-dil fikr-e-besh-o-kam ham tum
aaj rasm-e-vafā nibhā Daalo
phir kabhī hoñ na ho baham ham tum
aaj bhī vaañ gulāb khilte haiñ
kal hue the jahāñ baham ham tum
ho ke ek roz phir baham hum tum
banT len is jahan ka gham hum tum
ab koi dil kisi se ho na juda
ahd aa kar len kam se kam hum tum
pyar anqa hai is zamane mein
rakh rahe hain bas ek bharam hum tum
ho hi jaega jaan-o-dil ka hisab
phir hue gar kabhi baham hum tum
jate Darta hai jis taraf ye jahan
ab uTha len udhar qadam hum tum
muttahid ho to ai chaman walo
toD den bazu-e-sitam hum tum
aao mil-jul ke banT len yaro
fikr-e-dil fikr-e-besh-o-kam hum tum
aaj rasm-e-wafa nibha Dalo
phir kabhi hon na ho baham hum tum
aaj bhi wan gulab khilte hain
kal hue the jahan baham hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.