ho ke mayus uTh gae dar se
ho ke māyūs uTh ga.e dar se
hausle dhuup ke mire ghar se
tere ehsān kā javāb nahīñ
baar utrā na phir kabhī sar se
jhuk ke miltā hai jo ġharīboñ se
vo to ūñchā hai har qad-āvar se
tum to bāhar se joḌte ho mujhe
maiñ to TuuTā huā huuñ andar se
kitnā fāqoñ meñ lutf aatā hai
pūchh luuñ kyā kisī qalandar se
ik farishta bashar ke huliye meñ
mil gayā hai mujhe muqaddar se
jism koī judā nahīñ miltā
jism haiñ saare sang-e-marmar se
DhūñDne aa.e the shab-e-ġham ko
ḳhalvatoñ meñ sharāb ko tarse
suunī haiñ yaar bin guzargāheñ
dard kī aañkh se lahū barse
bad-gumānī bhī ho ga.ī zāhir
tere andar se tere bāhar se
ḳhvāb hote haiñ TūTne ke liye
aaj tābīr-e-ḳhvāb ko tarse
'ishq aur 'āshiqī se us ko kyā
aur kyā sunte us suḳhanvar se
ho ke mayus uTh gae dar se
hausle dhup ke mere ghar se
tere ehsan ka jawab nahin
bar utra na phir kabhi sar se
jhuk ke milta hai jo gharibon se
wo to uncha hai har qad-awar se
tum to bahar se joDte ho mujhe
main to TuTa hua hun andar se
kitna faqon mein lutf aata hai
puchh lun kya kisi qalandar se
ek farishta bashar ke huliye mein
mil gaya hai mujhe muqaddar se
jism koi juda nahin milta
jism hain sare sang-e-marmar se
DhunDne aae the shab-e-gham ko
KHalwaton mein sharab ko tarse
suni hain yar bin guzargahen
dard ki aankh se lahu barse
bad-gumani bhi ho gai zahir
tere andar se tere bahar se
KHwab hote hain TuTne ke liye
aaj tabir-e-KHwab ko tarse
'ishq aur 'ashiqi se us ko kya
aur kya sunte us suKHanwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.