ho ke warafta kahin KHud ko pukara to nahin
ho ke vārafta kahīñ ḳhud ko pukārā to nahīñ
naam jo lab pe hamāre hai tumhārā to nahīñ
ālam-e-tīrah-shabī mujh ko gavārā to nahīñ
maiñ ki ashk-e-sar-e-mizhgāñ huuñ sitārā to nahīñ
vaqt kahte haiñ ki har zaḳhm ko bhar detā hai
vaqt ne merā koī qarz utārā to nahīñ
raushnī ban ke ubharnā nahīñ āsāñ phir bhī
Duub kyā jā.ūñ ki maiñ sub.h kā taarā to nahīñ
ek lamha thā ki ik umr mujhe kyā mālūm
vaqt ḳhud biit gayā maiñ ne guzāra to nahīñ
umr tūfāñ ke thapeḌoñ meñ basar kī lekin
sakinān-e-lab-e-dariyā ko pukārā to nahīñ
raushnī dil meñ nazar aa.e to 'nashtar' socheñ
ahd-e-rafta ne koī naqsh ubhārā to nahīñ
ho ke warafta kahin KHud ko pukara to nahin
nam jo lab pe hamare hai tumhaara to nahin
aalam-e-tirah-shabi mujh ko gawara to nahin
main ki ashk-e-sar-e-mizhgan hun sitara to nahin
waqt kahte hain ki har zaKHm ko bhar deta hai
waqt ne mera koi qarz utara to nahin
raushni ban ke ubharna nahin aasan phir bhi
Dub kya jaun ki main subh ka tara to nahin
ek lamha tha ki ek umr mujhe kya malum
waqt KHud bit gaya main ne guzara to nahin
umr tufan ke thapeDon mein basar ki lekin
sakinan-e-lab-e-dariya ko pukara to nahin
raushni dil mein nazar aae to 'nashtar' sochen
ahd-e-rafta ne koi naqsh ubhaara to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.