ho KHumar itna ki haalat rahe sarshaari ki
ho ḳhumār itnā ki hālat rahe sarshārī kī
ye jo bad-mastī hai tauhīn hai mai-ḳhvārī kī
ab to baaqī na rahā koī shikāyat kā javāz
us ne rasman jo musalsal mirī ġham-ḳhvārī kī
ḳhvāhisheñ dil meñ vo fauran hī uThā detā hai
jab bhī tauba kī mire nafs ne ayyārī kī
muntazir kab se haiñ ham sub.h ke āsār nahīñ
jaane kab raat Dhale aur chhaTe tārīkī
yuuñ gumāñ thā ki mirī maan hī legā lekin
ek dīvār sar-e-rāh thī ḳhuddārī kī
bas ye kar sakte the ham aur bhalā kyā karte
sīñchā ashkoñ se chaman ḳhuun se gul-kārī kī
yuuñ tah-e-zāt hasīñ ḳhvāboñ ke manzar pā kar
aarzū ab na rahī auroñ kī ġham-ḳhvārī kī
tum to kahte the giraftār chalā āye.gā
us ne pahnī nahīñ zanjīr vafādārī kī
haiñ ġhazal meñ mirī pinhāñ ka.ī nukte 'ādil'
hai kahīñ lahja nayā aur kahīñ bārīkī
ho KHumar itna ki haalat rahe sarshaari ki
ye jo bad-masti hai tauhin hai mai-KHwari ki
ab to baqi na raha koi shikayat ka jawaz
us ne rasman jo musalsal meri gham-KHwari ki
KHwahishen dil mein wo fauran hi uTha deta hai
jab bhi tauba ki mere nafs ne ayyari ki
muntazir kab se hain hum subh ke aasar nahin
jaane kab raat Dhale aur chhaTe tariki
yun guman tha ki meri man hi lega lekin
ek diwar sar-e-rah thi KHuddari ki
bas ye kar sakte the hum aur bhala kya karte
sincha ashkon se chaman KHun se gul-kari ki
yun tah-e-zat hasin KHwabon ke manzar pa kar
aarzu ab na rahi auron ki gham-KHwari ki
tum to kahte the giraftar chala aayega
us ne pahni nahin zanjir wafadari ki
hain ghazal mein meri pinhan kai nukte 'adil'
hai kahin lahja naya aur kahin bariki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.