ho KHushi mujhko ki gham KHair tumhein kya is se
ho ḳhushī mujh ko ki ġham ḳhair tumheñ kyā is se
tum karo mashq-e-sitam ḳhair tumheñ kyā is se
sub.h-e-nau ab hai shab-e-ġham meñ badalne vaalī
phir na mil pā.eñge ham ḳhair tumheñ kyā is se
yaad aate hī baras paḌtī haiñ āñkheñ aksar
kitne rusvā hue ham ḳhair tumheñ kyā is se
kaash aa jaate kabhī pursish-e-ġham ko merī
kuchh to rah jaatā bharam ḳhair tumheñ kyā is se
tujh ko saaqī tirā mai-ḳhāna mubārak ham to
ab chale sū-e-haram ḳhair tumheñ kyā is se
dekh kar ham ko zamāna bhī hai hairat meñ 'nasīm'
kyā the kyā ho ga.e ham ḳhair tumheñ kyā is se
ho KHushi mujh ko ki gham KHair tumhein kya is se
tum karo mashq-e-sitam KHair tumhein kya is se
subh-e-nau ab hai shab-e-gham mein badalne wali
phir na mil paenge hum KHair tumhein kya is se
yaad aate hi baras paDti hain aankhen aksar
kitne ruswa hue hum KHair tumhein kya is se
kash aa jate kabhi pursish-e-gham ko meri
kuchh to rah jata bharam KHair tumhein kya is se
tujh ko saqi tera mai-KHana mubarak hum to
ab chale su-e-haram KHair tumhein kya is se
dekh kar hum ko zamana bhi hai hairat mein 'nasim'
kya the kya ho gae hum KHair tumhein kya is se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.