ho lag darmiyan to koi dil bhi tab lagae
ho laag darmiyāñ to koī dil bhī tab lagā.e
baiThe raho umiid yūñhī be-sabab lagā.e
jo qarz-e-hijr sauñp gayā 'umr ke 'evaz
shart-e-visāl us se kahīñ be-talab lagā.e
kis jeb-e-ehtiyāt meñ rakkheñ matā-e-dil
baiThā nahīñ kahāñ pe vo rahzan naqab lagā.e
khultā nahīñ hai uqda shab-e-intizār kā
yāroñ ne daav pech yahāñ sab ke sab lagā.e
chāroñ taraf hai aag magar darmiyān-e-shahr
baiThā hai yaar majlis-e-jashn-e-tarab lagā.e
bāzār-e-'ishq sard paḌā nazr-e-jāñ ke baa'd
ab koī naqd-e-nām yā naqd-e-nasab lagā.e
phirte haiñ le ke bint-e-fasāhat ko mīrzā
apne ta.iiñ ḳhudā-e-suḳhan kā laqab lagā.e
is ḳhvāñcha-e-suḳhan pe to 'sarmad' guzar nahīñ
us se kaheñ hameñ vo kisī aur Dhab lagā.e
ho lag darmiyan to koi dil bhi tab lagae
baiThe raho umid yunhi be-sabab lagae
jo qarz-e-hijr saunp gaya 'umr ke 'ewaz
shart-e-visal us se kahin be-talab lagae
kis jeb-e-ehtiyat mein rakkhen mata-e-dil
baiTha nahin kahan pe wo rahzan naqab lagae
khulta nahin hai uqda shab-e-intizar ka
yaron ne daw pech yahan sab ke sab lagae
chaaron taraf hai aag magar darmiyan-e-shahr
baiTha hai yar majlis-e-jashn-e-tarab lagae
bazar-e-'ishq sard paDa nazr-e-jaan ke ba'd
ab koi naqd-e-nam ya naqd-e-nasab lagae
phirte hain le ke bint-e-fasahat ko mirza
apne tain KHuda-e-suKHan ka laqab lagae
is KHwancha-e-suKHan pe to 'sarmad' guzar nahin
us se kahen hamein wo kisi aur Dhab lagae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.