ho na ho manzil safar ek muKHtasar mera bhi hai
ho na ho manzil safar ik muḳhtasar merā bhī hai
vaqt kī suulī pe laTkā ek sar merā bhī hai
maiñ ki dariyā kī tarah bahtā nahīñ huuñ rāt-din
huuñ to ik tālāb hī lekin safar merā bhī hai
ek hī mausam udāsī kā hai sadiyoñ se jahāñ
dard kī in bastiyoñ meñ ek ghar merā bhī hai
ai mire maulā mujhe bas apnī rahmat se navāz
āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai
tū akelā hī nahīñ hai fikr-e-duniyā meñ 'ḳhayāl'
soch ke sāgar meñ Duubā dekh sar merā bhī hai
ho na ho manzil safar ek muKHtasar mera bhi hai
waqt ki suli pe laTka ek sar mera bhi hai
main ki dariya ki tarah bahta nahin hun raat-din
hun to ek talab hi lekin safar mera bhi hai
ek hi mausam udasi ka hai sadiyon se jahan
dard ki in bastiyon mein ek ghar mera bhi hai
ai mere maula mujhe bas apni rahmat se nawaz
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai
tu akela hi nahin hai fikr-e-duniya mein 'KHayal'
soch ke sagar mein Duba dekh sar mera bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.