Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho na jae wo kahin ishq mein ruswa aaKHir

Shamshad Kukravi

ho na jae wo kahin ishq mein ruswa aaKHir

Shamshad Kukravi

MORE BYShamshad Kukravi

    ho na jaa.e vo kahīñ 'ishq meñ rusvā āḳhir

    maiñ ne kuchh soch ke badlā hai rastā āḳhir

    dasht-o-sahrā muqaddar hai to phir Dar kaisā

    maiñ na ruktā to koī aur Thahartā āḳhir

    ab agar chāhe to mujh se vo judā ho jaa.e

    ab mujhe hijr bhī us hai gavāra āḳhir

    log matlab se nibhāte haiñ yahāñ rishtoñ ko

    kyoñ na TuuTe bhalā rishtoñ ye dhāgā āḳhir

    ye shab-e-hijr ye tanhā.ī to thī merā nasīb

    mil gayā mujh ko bhī taqdīr likkhā āḳhir

    koī rahbar nazar aayā na jahāñ se mujh ko

    is do-rāhe pe khaḌā huuñ tane-tanhā āḳhir

    jab use raas na aa.ī mirī chāhat 'shamshād'

    phir bhalā kaise karūñ us tamanna āḳhir

    ho na jae wo kahin 'ishq mein ruswa aaKHir

    main ne kuchh soch ke hi badla hai rasta aaKHir

    dasht-o-sahra hi muqaddar hai to phir Dar kaisa

    main na rukta to koi aur Thaharta aaKHir

    ab agar chahe to mujh se wo juda ho jae

    ab mujhe hijr bhi us ka hai gawara aaKHir

    log matlab se nibhate hain yahan rishton ko

    kyon na TuTe bhala rishton ka ye dhaga aaKHir

    ye shab-e-hijr ye tanhai to thi mera nasib

    mil gaya mujh ko bhi taqdir ka likkha aaKHir

    koi rahbar nazar aaya na jahan se mujh ko

    is do-rahe pe khaDa hun tane-tanha aaKHir

    jab use ras na aai meri chahat 'shamshad'

    phir bhala kaise karun us ki tamanna aaKHir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now