ho nahin pai hai nuqsan ki talafi ab tak
ho nahīñ paa.ī hai nuqsāñ kī talāfī ab tak
bhuul paa.e nahīñ guzrā huā maazī ab tak
bas ga.e shahr meñ fitrat nahīñ badlī ab tak
aisā lagtā hai ki insān hai vahshī ab tak
ab ye jaanā bhī koī jaanā hai jaane vaale
hai tire hone kī har ek nishānī ab tak
aur ab kyā use murda hī banā Dāloge
kam vahī kyā hai jo kuchh dil pe hai guzrī ab tak
vaqt thā kaun sā lamha jo ḳhatā kar baiThā
kyoñ ye jaarī hai tabāhī pe tabāhī ab tak
tū ne māñgā hī nahīñ māñgne vāloñ kī tarah
varna rahtī nahīñ ḳhālī tirī jholī ab tak
ai qayāmat tū abhī duur hī rahnā kuchh roz
ham to chaḌh paa.e haiñ bas pahlī hī sīḌhī ab tak
terī mehnat meñ nahīñ koī kamī ai 'jāved'
ho nahīñ paa.ī hai allāh kī marzī ab tak
ho nahin pai hai nuqsan ki talafi ab tak
bhul pae nahin guzra hua mazi ab tak
bas gae shahr mein fitrat nahin badli ab tak
aisa lagta hai ki insan hai wahshi ab tak
ab ye jaana bhi koi jaana hai jaane wale
hai tere hone ki har ek nishani ab tak
aur ab kya use murda hi bana Daloge
kam wahi kya hai jo kuchh dil pe hai guzri ab tak
waqt tha kaun sa lamha jo KHata kar baiTha
kyon ye jari hai tabahi pe tabahi ab tak
tu ne manga hi nahin mangne walon ki tarah
warna rahti nahin KHali teri jholi ab tak
ai qayamat tu abhi dur hi rahna kuchh roz
hum to chaDh pae hain bas pahli hi siDhi ab tak
teri mehnat mein nahin koi kami ai 'jawed'
ho nahin pai hai allah ki marzi ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.