ho raha hai kali par chaman ka guman
![Ustad Azmat Hussain Khan Ustad Azmat Hussain Khan](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/ustad-azmat-hussain-khan.png)
ho raha hai kali par chaman ka guman
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
ho rahā hai kalī par chaman kā gumāñ
qābil-e-dīd hai ab mirā gulsitāñ
hai mirā zikr bhī aap kī dāstāñ
aap hote raheñ mujh se dāman-kashāñ
kyoñ bhaḌaktā nahīñ ab ye soz-e-nihāñ
thoḌā thoḌā sā kab tak uThegā dhuāñ
ho rahā hai mujhe raushnī kā yaqīñ
jis qadar baḌh rahī haiñ ye tārīkiyāñ
qaid dair-o-haram kī lagāte haiñ kyoñ
ek dil bhī to hai aap kā āstāñ
tez hote ga.e aur bhī kuchh qadam
jis qadar raah meñ aa.eñ dushvāriyāñ
aap aa.e bhī lekin is andāz se
baḌh ga.iiñ aur 'maikash' kī tanhā.iyāñ
ho raha hai kali par chaman ka guman
qabil-e-did hai ab mera gulsitan
hai mera zikr bhi aap ki dastan
aap hote rahen mujh se daman-kashan
kyon bhaDakta nahin ab ye soz-e-nihan
thoDa thoDa sa kab tak uThega dhuan
ho raha hai mujhe raushni ka yaqin
jis qadar baDh rahi hain ye tarikiyan
qaid dair-o-haram ki lagate hain kyon
ek dil bhi to hai aap ka aastan
tez hote gae aur bhi kuchh qadam
jis qadar rah mein aaen dushwariyan
aap aae bhi lekin is andaz se
baDh gain aur 'maikash' ki tanhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.